Hindi Lyrics -->


A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #

Yaari Teri Yaari Lyrics

Movie : Raat Gayi Baat Gayi


Lyrics :

Singer(s): Ankur Tewari
Cast(s) : Rajat Kapoor, Vinay Pathak, Neha Dhupia, Iravati Harshe,
Dilip Tahil, Anu Menon


tu mukaam hai, main jariya hoon
haan baarish ki bundein hai tu, main dariya hoon
teri meri baato mein, ek maja hai
teri meri yaari yeh haay, humase milake bhi tu doosra humsa hai na koi
yaari teri yaari, yaari teri yaari

tu din hai main tujhame ik lamaha hoon
o o o tu mujhame main tujhame samaaya hoon
teri meri baaton mein, ek maja hai
teri meri yaari yeh haay, humase milake bhi tu doosra humsa hai na koi
yaari teri yaari, yaari teri yaari

hamase hai khushiya, hamase jamaana
baatein kahega tumase, dhunde bahaana
kadamo se mile kadam, hota na rojaana
hamaara yeh kaarvaan, likhega fasaana

teri kurbat se main bana hoon
tu kahaan hai, main yahaan hoon
teri meri baaton mein, ek majaa hai
teri meri baato mein, ek maja hai
teri meri yaari yeh haay, humase milake bhi tu doosra humsa hai na koi
yaari teri yaari, yaari teri yaari...